To baat kuch hadd tak aisi hai
ki shaam ka intezaar hai subah ka nahin
Kahan to chain ki talaash thi
Ab fursat mein bhi aaram nahin
Jis raah par bhaagte thake nahin
Kadam ba-mushkil uth rahe hain
Dilli door ho ya paas, kya fikar
raaste ka hi pata nahin
Raunak to dhoop mein os ho gayee
muskurana bhi ab jamta nahin
Kuch is tarah badli hai karwat
ki dhuen mein ho gaye gum
Hosla to abhi bhi buland hai
Kambakht mauke ka pata nahin