Monday, October 29, 2007

Pieces

Mushkilein hai to rahengi, ek gayee to doosri saamne.
Jeetne ki chah ho to haar nahin ginte.

Bhagwaan ka but bolta nahin kaafir ke saamne.
Par is khayal se woh khush nahin hua karte.

Dhalte hain din aur dhalti hain shaame,
Honsala aur irade nahin dhalte.

Mukkammal samay na ho to kya karega Akbar,
Koshish karne waalon par to maskhare bhi nahin hanste.

Kehta hain sabhi ki,
Lakh lagao taakat, par aasmaan nahin hilte.

Unse kahe koi ki dhoondh kar dekho to sahi
Bhagwaan mil jaaya karte hain par insaan nahin milte.

No comments: